jis jagah aagahi muqayyad hai

jis jagah aagahi muqayyad hai
us jagah zindagi muqayyad hai

bujh rahe hain gulab se chehre
kya yahan tazgi muqayyad hai

chand jis ka tawaf karta tha
ab wahan khak si muqayyad hai

ek arzi liye main hazir hun
munsifa raushni muqayyad hai

khak-e-karbal mein aaj bhi logo
ek ajab tishnagi muqayyad hai

kachche ghar ke nasib mein 'babar'
ja-ba-ja khastagi muqayyad hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close