jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna dil ko jaane the hum apna so kahan hai apna qissa-e-majnun-o-farhad bhi ek parda hai jo fasana hai yahan sharh-o-bayan hai apna wasf kahne mein tere husn ke sharminda hun us ke qabil na zaban hai na dahan hai apna jis ko jaana ho bhala us ko bura kya kahiye go ki bad-waza hai par ab to miyan hai apna