jise milen wahi tanha dikhai deta hai

jise milen wahi tanha dikhai deta hai
hisar-e-zat mein simta dikhai deta hai

kisi ke sar pe koi saeban nahin har shakhs
khud apni chhanw mein baitha dikhai deta hai

wo daur-e-tesha-giri hai ki aadmi ka wajud
har ek samt se tuta dikhai deta hai

saza-e-dar abhi tak hai ahl-e-haq ke liye
abhi salib pe isa dikhai deta hai

dhuan dhuan hai faza aatish-e-tassub se
nagar nagar mujhe jalta dikhai deta hai

ye kaifiyat hai junun ki ya dil ki virani
ki apna ghar mujhe sahra dikhai deta hai

bhatak rahi hai kisi karbala mein 'soz' ki ruh
kuchh is tarah se wo pyasa dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close