jo puchhte hain ki ye ishq-o-ashiqi kya hai

jo puchhte hain ki ye ishq-o-ashiqi kya hai
wo jaante nahin maqsud-e-zindagi kya hai

zamir-e-pak khayal-e-buland zauq-e-latif
bas aur is ke siwa jauhar-e-khudi kya hai

wafa ki aad mein kya kya hui jafa hum par
jo dosti yahi thahri to dushmani kya hai

baja hai fart-e-junun ne hamein kiya ruswa
jamal-e-yar mein aakhir ye dilkashi kya hai

wufur-e-shauq ki mayusiyan are tauba
dil-e-tabah mein ab aarzu rahi kya hai

agar na jurm-e-mohabbat ki ye saza hoti
to baat baat pe hum se ye be-rukhi kya hai

na samjho tum meri arz-e-niyaz ko shikwa
main jaanta hun taqaza-e-bandagi kya hai

ata kiya tha jo zauq-e-numud us dil ko
to har qadam pe ye rang-e-shikastagi kya hai

gurez kya main karun naseho ki sohbat se
jahan na kuchh ho ye sohbat wahan buri kya hai

wafa se aur na tark-e-wafa se aap hain khush
mujhe bataiye phir aap ki khushi kya hai

fareb-e-hasti-e-mauhum kha raha hun hanuz
mujhe khabar hai haqiqat yahan meri kya hai

jo gamzan hain sar-e-jada-e-talab 'najmi'
wo jaante nahin duniya mein bebasi kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close