kab is mein shak mujhe hai jo lazzat hai qal mein lekin wo baat is mein kahan hai jo haal mein dil hai mera ki marka-e-kufr-o-din koi ek umr kat gai hai jawab o sawal mein allah re be-khudi ki tere ghar ke aas-pas har dar pe di sada tere dar ke khayal mein do nam ek kaifiyat-e-jazb-e-dil ke hain bas farq is qadar hai firaq o visal mein aae wo kitni bar nigahon ke ru-ba-ru us ke libas mein kabhi us ke jamal mein