kabhi firaq kabhi lazzat-e-visal mein rakh

kabhi firaq kabhi lazzat-e-visal mein rakh
mujh e'tidal se aari ko e'tidal mein rakh

nacha raha hai mujhe ungliyon pe ishq tera
tamam umr isi raqs-e-be-misal mein rakh

dukhi ho dil to utarti hai shairi mujh par
tujhe ghazal ki qasam hai mujhe malal mein rakh

tu chahta hai agar kar-e-afatab karun
mera uruj meri saat-e-zawal mein rakh

tere baghair guzari hai zindagi main ne
tu is sitam ki talafi bhi mah-o-sal mein rakh

tu dil hai aur dhdakna teri ibaadat hai
so khud ko jism se bahar bhi tu dhamal mein rakh

shikam se ho ke guzarte hain qaul-o-feal mere
mujh aise shakhs ko nan-o-namak ke jal mein rakh

mere badan ko bhale is se aag lag jae
charagh-e-harf magar mere baal baal mein rakh

main is azab ke nashshe mein mubtala hun 'kabir'
parai aag utha kar meri sifal mein rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close