kabhi tu ne KHud bhi socha ki ye pyas hai to kyun hai

kabhi tu ne khud bhi socha ki ye pyas hai to kyun hai
tujhe pa ke bhi mera dil jo udas hai to kyun hai

mujhe kyun aziz-tar hai ye dhuan dhuan sa mausam
ye hawa-e-sham-e-hijran mujhe ras hai to kyun hai

tujhe kho ke sochta hun mere daman-e-talab mein
koi khwab hai to kyun hai koi aas hai to kyun hai

main ujad ke bhi hun tera tu bichhad ke bhi hai mera
ye yaqin hai to kyun hai ye qayas hai to kyun hai

mere tan barahna-dushman isi gham mein ghul rahe hain
ki mere badan pe salim ye libas hai to kyun hai

kabhi puchh us ke dil se ki ye khush-mizaj shair
bahut apni shairi mein jo udas hai to kyun hai

tera kis ne dil bujhaya mere 'eatibar-sajid'
ye charagh-e-hijr ab tak tere pas hai to kyun hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close