kabhi wo dost kabhi fitna-saz lagta hai

kabhi wo dost kabhi fitna-saz lagta hai
wo dekhne mein bada dil-nawaz lagta hai

ghazab mein aae to aatish mizaj ban jae
wo mehrban ho to mahfil-gudaz lagta hai

jahan ka dard bhara hai mizaj mein us ke
wo ek hum se faqat be-niyaz lagta hai

wo todta bhi hai dil ek ada-e-naz ke sath
sitamgari mein bhi wo chaarasaz lagta hai

jafaen us ki wo maqbul-e-am hain itni
hamara shikwa bahut be-jawaz lagta hai

main sar-ba-sajda hua us ke dar pe to puchha
ye kaun shakhs hai mahw-e-namaz lagta hai

meri fughan pe ba-andaz-e-dad us ne kaha
tumhaara sher bahut dil-gudaz lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close