kahin to phenk hi denge ye bar sanson ka

kahin to phenk hi denge ye bar sanson ka
uthae bojh jo phirte hain yar sanson ka

ana ghurur takabbur hayat kuchh bhi nahin
ki sara khel hai pyare ye chaar sanson ka

chalo ye zindagi zinda-dili se jite hain
badhega is tarah kuchh to waqar sanson ka

gulabi hont wo honton pe rakh ke kahti thi
sada rahega ye tujh par khumar sanson ka

bade qarib se guzri hai maut chhu ke tujhe
jo ho sake koi sadqa utar sanson ka

hawa ye wajd mein aa kar diye se kahne lagi
ki ab tu sah nahin paega war sanson ka

hum is ko zindagi samjhen to kis tarah 'arshad'
kisi ke hath mein hai ikhtiyar sanson ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close