kahun kya fasana-e-gham use kaun manta hai jo guzar rahi hai mujh par mera dil hi jaanta hai tu saba ka hai wo jhonka jo guzar gaya chaman se na wo raunaqen hain baqi na kahin suhanta hai use main nasib jaanun ki bashar ki khud-farebi koi bhar raha hai daman koi khak chhanta hai tera yun khayal aaya mujhe gham ki dopahar mein koi jaise apna aanchal mere sar pe tanta hai main nizam-e-zar ki dewi se 'qatil' aashna hun kahin nam us ka salma kahin chandrkanta hai