karte hain chain baiThe husn-o-jamal wale

karte hain chain baithe husn-o-jamal wale
phirte hain mare mare kya kya kamal wale

meri tarah se ek din bazar se jahan ke
jawenge hath khali jitne hain tal wale

dam de ke phansta hai ushshaq ke dinon ko
main jaanta hun tujh ko zulfon ke jal wale

mahshar ka marka ho jis dam jahan ke andar
us din hamein bachana o lambi dhaal wale

bulbul hain tere hum bhi bagh-e-jahan ke andar
o gul se gal wale sumbul se baal wale

tanha lahad ke andar honge gada ki surat
jitne hain is jahan mein jah-o-jalal wale

zulf-e-shab-e-judai teri buri bala hai
is ka khayal rakhna o lambe baal wale

aashiq hain hum bhi tere abru ke aur rukh ke
hum ko bhi yaad rakhna badr-o-hilal wale

bhule hain do-jahan ko sud-bud nahin kisi ki
jo jo hain is jahan mein tere khayal wale

sayyaad ne bichhaya gulshan mein dam-o-dana
sun gul-ezar wale o khatt-o-khal wale

meri tarah se ek din bazar se jahan ke
jaenge hath khali jitne hain mal wale

mansur-o-qais-o-wamiq farhad-o-'muntahi' se
kya kya gae jahan se fazl-o-kamal wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close