karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum

karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum
jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum

pichhe kahin rahe nahin aah-e-rasa se hum
jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum

iza ki apni fikr karenge dawa se hum
dhundenge koi maut ka nuskha shifa se hum

zahid bura na manenge is bad-dua se hum
hon but-parast chahte hain ye khuda se hum

uljhenge ek bar to zulf-e-dota se hum
saudai hun sadi hun tumhaari bala se hum

tegh-e-nigah na tir-e-mizha ne kiya halak
han mar gae hain aap hi apni qaza se hum

na-qadr se hi qadr ki ummid hai abas
o be-wafa khajil hue apni wafa se hum

ghar ja ke un ke rog laga lae ishq ka
bimar ho ke aae hain darushshifa se hum

aab-e-hayat khizr-o-sikandar ko chahiye
saqi faqat sharab ke hain ek piya se hum

bole masih dekh ke bimar-e-ishq ko
majbur hain isi maraz-e-la-dawa se hum

jheli hui hain ishq mein lakhon musibaten
darte nahin hai aap ke jaur-o-jafa se hum

ghar mein huzur ke hamein sona nasib ho
aae hain mal marne daulat-sara se hum

gulzar hai shahidon ka jannat ka ham-sawad
jaenge to na aaenge phir karbala se hum

qismat ka apni pech hua gesuon ka pech
badlen siyah tale-e-zill-e-huma se hum

dil mein tere asar na hua arsh hil gaya
nadim hain na-rasai-e-ah-e-rasa se hum

achchha hua na dafn hui nash baad-e-marg
kya musht-e-ustukhwan ko chhupate huma se hum

sote nahin hain raat ko bhi hum to chain se
karte hain 'mehr' uns jo ek mah-laqa se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close