kash maqbul ho dua-e-adu

kash maqbul ho dua-e-adu
kya karun wo bhi mustajab nahin

ab to us chashm-e-tar ka charcha hai
zikr-e-dariya nahin sahab nahin

jama tufan-o-chashm-e-tar masraf
ab masarif ka kuchh hisab nahin

dho diya sab ko dida-e-tar ne
wo nahin dars wo kitab nahin

ishq-bazi ka munh chidana hai
aur wo mausam nahin shabab nahin

teri aankhon ke daur mein kya kya
sehr ruswa nahin kharab nahin

mukhtasar haal-e-chashm-o-dil ye hai
us ko aaram us ko khwab nahin

jo sarapa-e-yar 'azurda'
tere diwan ka intikhab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close