kaun pahchane mujhe shab bhar to khatron mein raha wo andhera hun jo din bhar band kamron mein raha sab ki nazren roz padti thin koi padhta na tha main to har akhbar ki gumnam khabron mein raha main ne duniya chhod di lekin mera murda badan ek uljhan ki tarah qatil ki nazron mein raha aaj ka insan chadar odh kar ehsas ki zindagi ke shahr mein ji kar bhi qabron mein raha waqt ne qatron ko samjha hai samundar ki tarah jo samundar tha hamesha chand qatron mein raha jis ko bakhsha hai khuda ne fikr ka jazba 'nazir' wo purani aur nai sari hi qadron mein raha