KHalal aaya na haqiqat mein na afsana bana

khalal aaya na haqiqat mein na afsana bana
main to lagta hai ki bekar hi diwana bana

mar hi dala tha sahil ke maraz ne mujh ko
ek sailab achanak hi shifa-khana bana

jaise parchhain banai gai har jism ke sath
usi andaz se har shahr ka virana bana

masjid-e-jism jise koi namazi na mila
wahin ek sham meri ruh ka mai-khana bana

farhat-ehsas se aati thi sada-e-girya
aakhir-kar wo duniya ka aza-khana bana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close