KHaraba aur hota hai KHarab aahista aahista

kharaba aur hota hai kharab aahista aahista
dayar-e-dil pe aate hain azab aahista aahista

sawal-e-wahshat-e-jaan ke jawab aahista aahista
but-e-kafir uthate hain naqab aahista aahista

koi dast-e-hinai mu-qalam se bharta jata hai
nigar-e-sham mein rang-e-sharab aahista aahista

bagula ibtida-e-shauq mein mahmil dikhai de
nazar aate hain sahra mein sarab aahista aahista

bahut bosida yaadon ke waraq jhadne bhi lagte hain
palat umr-e-guzishta ki kitab aahista aahista

suragh-e-naqsh-e-pa mitte chale jate hain sahra mein
ubharta hai safar mein iztirab aahista aahista

kamal-e-shauq-e-nazzara mein uryan hota jata hai
sar-e-baam-e-falak wo mahtab aahista aahista

kabhi khushbu kabhi naghma kabhi rangin pairahan
'nadim' ugti hai yun hi fasl-e-khwab aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close