khayal us ka kahan se kahan nahin jata wahan bhi jae ki jis ja guman nahin jata bas apne bagh mein mahw-e-khiram rahta hai ki khud se dur wo sarw-e-rawan nahin jata hijab us ke mere bich agar nahin koi to kyun ye fasla-e-darmiyan nahin jata koi thaharta nahin yun to waqt ke aage magar wo zakhm ki jis ka nishan nahin jata na jaane us ki zaban mein hai kya asar 'farrukh' ki us se ho ke koi bad-guman nahin jata