KHizan-nasib ki hasrat ba-ru-e-kar na ho

khizan-nasib ki hasrat ba-ru-e-kar na ho
bahaar shoabada-e-chashm-e-intizar na ho

fareb-khurda-e-ulfat se puchhiye kya hai
wo ek ahd-e-mohabbat ki ustuwar na ho

nazar ko tab-e-nazara na dil ko jurat-e-did
jamal-e-yar se yun koi sharmsar na ho

qaba-darida-o-daman-o-astin khunin
gulon ke bhes mein ye koi dil-figar na ho

na ho sakega wo ramz-ashna-e-kaif-e-hayat
jo qalb chashm-e-taghaful ka raazdar na ho

tariq-e-ishq pe hansti to hai khirad lekin
ye gumrahi kahin manzil se ham-kanar na ho

na tana-zan ho koi ahl-e-hosh maston par
ki zoam-e-hosh bhi ek aalam-e-khumar na ho

wo kya batae ki kya shai umid hoti hai
jise nasib kabhi sham-e-intizar na ho

ye chashm-e-lutf mubarak magar dil-e-nadan
payam-e-ishwa-e-rangin sala-e-dar na ho

kisi ke lab pe jo aae nawed-e-zist bane
wahi hadis-e-wafa jis pe eatibar na ho

jo do-jahan bhi mange to main ne kya manga
wo kya talab jo ba-qadr-e-ata-e-yar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close