KHub hai shauq ka ye pahlu bhi

khub hai shauq ka ye pahlu bhi
main bhi barbaad ho gaya tu bhi

husn-e-maghmum tamkanat mein teri
farq aaya na yak-sar-e-mu bhi

ye na socha tha zer-e-saya-e-zulf
ki bichhad jaegi ye khush-bu bhi

husn kahta tha chhedne wale
chhedna hi to bas nahin chhu bhi

hae wo us ka mauj-khez badan
main to pyasa raha lab-e-ju bhi

yaad aate hain moajize apne
aur us ke badan ka jadu bhi

yasmin us ki khas mahram-e-raaz
yaad aaya karegi ab tu bhi

yaad se us ki hai mera parhez
ai saba ab na aaiyo tu bhi

hain yahi 'jaun-elia' jo kabhi
sakht maghrur bhi the bad-khu bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close