KHuda se use mang kar dekhte hain

khuda se use mang kar dekhte hain
phir apni dua ka asar dekhte hain

hamin hain musafir hamin aabla-pa
tamasha ai gard-e-safar dekhte hain

faqiri faqiri faqiri faqiri
na jannat na duniya na ghar dekhte hain

idhar aa ai husn-e-tamanna idhar aa
nazar bhar tujhe ek nazar dekhte hain

kisi aks mein ab wo bandhenge mujh ko
chura kar nazar shishagar dekhte hain

na jaane kahan mit gae naqsh-e-jaan
chalo aaj phir soch kar dekhte hain

hamare hi ghar se nikalta hai aksar
jise log sham-o-sahar dekhte hain

kada imtihan chaak par tha nazar ka
abhi tak wo raqs-e-hunar dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close