khul gaya shayad bharam ai dil junun ke raaz ka

khul gaya shayad bharam ai dil junun ke raaz ka
badla badla sa nazar aata hai rukh dam-saz ka

gunjti hai ab bhi kanon mein sada-e-bazgasht
tutna dil ka tha ek naghma shikasta-saz ka

mah-o-anjum mein bhi us ka husn jalwa-rez hai
aaftab ek aks hai husn-e-karishma-saz ka

ek pari-khana hai ye shahr-e-hasin lekin yahan
koi chehra bhi nazar aaya na us andaz ka

kis qadar rangin hai tartib-e-kitab-e-zindagi
is mein afsana hai shayad tere husn-o-naz ka

shokhiyan phulon se jab karne lagi baad-e-sahar
barha dhoka hua hai aap ki aawaz ka

apna harf-e-arzu bhi kya qayamat hai 'nazir'
dastan-dar-dastan hai harf harf us raaz ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close