khun-girafta ho to khanjar ka badan dukhta hai panja-e-khair mein hi shar ka badan dukhta hai paikar-e-nim-shikasta hun karo tesha-zani barish-e-gul se ye patthar ka badan dukhta hai kaun hai tujh sa jo bante meri din bhar ki thakan muzmahil raat hai bistar ka badan dukhta hai mustaqil shorish-e-tufan se ragen tutti hain zabt-e-paiham se samundar ka badan dukhta hai zakhm-khurda dar o diwar ki haalat hai ajab sirf aahat se mere ghar ka badan dukhta hai qimat-e-jaan ki tawaqqo kaf-e-qatil se kahan khun-baha ye hai ki khanjar ka badan dukhta hai dard maujon ki rifaqat ka bada hai shayad qurb-e-sahil se shanawar ka badan dukhta hai