KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya

khwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya
qarz-e-dil kya qarz-e-jaan bhi aaj chukta kar diya

ghair ko ilzam kyun den dost se shikwa nahin
apne hi hathon kiya jo kuchh bhi jaisa kar diya

kuchh khabar bhi ho na pai is dayar-e-ishq mein
kaun yusuf ho gaya kis ko zulekha kar diya

dil ke darwaze pe yaaden shor jab banne lagin
dhadkanon ka nam de kar bojh halka kar diya

kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath
jin ki rukhsat ne hamara shahr suna kar diya

apne pyaron ko bachaya dard ki har mauj se
aankh mein sailab roka dil ko dariya kar diya

phul, paude, ped, bachche ghar ka aangan aur tum
khwahishon ke nam par in sab ko yakja kar diya

gham nahin la-hasili ka ishq ka hasil hai ye
ai hisab-e-zindagi tujh ko to pura kar diya

hijr se hijrat talak har dukh se samjhauta kiya
bhid mein rah ke bhi main ne khud ko tanha kar diya

ye zamin 'hasrat' ki hai is par qadam rakkha to phir
itni jurat ho gai arz-e-tamanna kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close