khwab ke phulon ki tabiren kahani ho gain khun thanda pad gaya aankhen purani ho gain jis ka chehra tha chamakte mausamon ki aarzu us ki taswiren bhi auraq-e-khizani ho gain dil bhar aaya kaghaz-e-khali ki surat dekh kar jin ko likhna tha wo sab baaten zabani ho gain jo muqaddar tha use to rokna bas mein na tha un ka kya karte jo baaten na-gahani ho gain rah gaya 'mushtaq' dil mein rang-e-yaad-e-raftagan phul mahnge ho gae qabren purani ho gain