KHwahishen duniya ki bar-e-dosh-o-gardan ho gain

khwahishen duniya ki bar-e-dosh-o-gardan ho gain
rafta rafta manzil-e-uqba ki rahzan ho gain
ye hawa kaisi chali is tangna-e-dahr mein
shahr jangal ho gae aabaadiyan ban ho gain
chal su-e-gor-e-gariban ai haris-e-mal-o-zar
dekh kitni aarzuen nazr-e-madfan ho gain
kaisi ranga-rang shaklen hongi ai josh-e-bahaar
mit ke jo gulguna-e-rukhsar-e-gulshan ho gain
khul nahin sakti kabhi kaifiyyat-e-bughz-o-hasad
meri aahen parda-e-namus-e-dushman ho gain
mere naghmon ne jo pai qalb-e-gulshan mein jagah
shakh-e-gul par bulbulen bar-e-nasheman ho gain
jab mere nale hue qadd-e-sanobar se buland
bulbulen sakit sar-e-diwar-e-gulshan ho gain
jama-e-hasti hua sad-chaak jab misl-e-sahr
zinaten duniya ki garda-gard-e-daman ho gain