kise hum apna kahen koi gham-gusar nahin hamein jab apne parae pe e'tibar nahin hum apne daur ki sachchaiyon ko likhte hain qalam hamara kisi ka to mustaar nahin jo be-wafa the wahi log pa gae eazaz meri wafaon ka ab tak kahin shumar nahin hamare sar pe baras jaenge kahan patthar tunak-mizaji-e-mausam ka e'tibar nahin duaen de ke jo bachchon ko shahr bhejenge ab aise ganw mein koi buzurgwar nahin hazar muflis-o-nadar main sahi 'rahbar' khuda ka shukr kisi ka bhi qarz-dar nahin