kisi ke shikwa-ha-e-jaur se waqif zaban kyun ho

kisi ke shikwa-ha-e-jaur se waqif zaban kyun ho
gham-e-dil aag to lag hi chuki lekin dhuan kyun ho

mohabbat mein visal-o-hijr ki tamiz kya mani
bisat-e-ishq par bazicha-e-sud-o-ziyan kyun ho

jabin sail thi nadim hai magar ai sajda-e-akhir
meri mahrumiyon se be-talluq aastan kyun ho

khudawanda chaman mein to nasheman hi nasheman hain
nazar mein barq ki sirf ek shakh-e-ashiyan kyun ho

riwayat-e-kuhan ko azm-e-nau khatir mein kya lae
zamir-e-karwan paband-e-mir-e-karwan kyun ho

ye mana ek aansu hai magar ai sai-e-zabt-e-gham
sar-e-mizhgan ye ek aansu bhi dil ka tarjuman kyun ho

zamana jab bhula hi baitha 'ejaz'-e-hazin tujh ko
koi ab mehrban kyun ho koi na-mehrban kyun ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close