koi achchha lage kitna hi bharosa na karo

koi achchha lage kitna hi bharosa na karo
har kisi ko kabhi apni tarah samjha na karo

jis mein tufan bhanwar mauj na gahrai ho
aise pani mein kabhi bhul ke utra na karo

chand sapne hi to tute hain abhi sans nahin
is tarah apni tamannaon ko maila na karo

band kamre se nikal aao ki duniya hai badi
hath par hath dhare baith ke socha na karo

hum ne mana ki bahut tut chuke ho phir bhi
chal pade ho to kahin rah mein thahra na karo

sar uthati hui maujon se hawaon ne kaha
waqt ke sath chalo waqt se uljha na karo

na jala panw nae dip koi baat nahin
kam se kam un ko jo jalte hain bujhaya na karo

chahe kitne hi ghane kyun na hon sae us ke
nim ke ped se aamon ki tamanna na karo

un zaminon ko mahakne do abhi pedon se
waqt se pahle unhen kat ke sahra na karo

apni pahchan agar tum ko hai karni qaem
sab ki aawaz mein aawaz milaya na karo

dank chahe koi mare koi chahe das le
zahr se zahr ko 'asif' kabhi mara na karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close