koi chehra na sada koi na paikar hoga wo jo bichhdega to badla hua manzar hoga be-shajar shahr mein ghar us ka kahan tak dhunden wo jo kahta tha ki aangan mein sanobar hoga apne sab khwab na yun aankh mein le kar niklo dhup hogi to kisi hath mein patthar hoga hum se kahta tha ye nadida zaminon ka safar kahin sahra to kahin nila samundar hoga us ne kuchh bhi na liya hum se zar-e-gul ke ewaz wo kisi phul ki basti ka tawangar hoga hum agar hote use saya-e-gul mein rakhte jis ne dhupon mein jalaya wo sitamgar hoga jism ki aag mera nam bachae rakhna ab ke sunte hain ki barfila december hoga