koi maqam-e-sukun raste mein aaya nahin hazar ped hain lekin kahin bhi saya nahin kise pukare koi aahaton ke sahra mein yahan kabhi koi chehra nazar to aaya nahin bhatak rahe hain abhi tak musafiran-e-visal tere jamal ne koi diya jalaya nahin bikhar gaya hai khala mein kiran karan ho kar wo chand jo kisi pahlu mein jagmagaya nahin taras gai hai zamin baadalon ki surat ko kisi nadi ne koi git gungunaya nahin ujad gaya tha kisi zalzale mein shahr-e-wafa na jaane phir use hum ne bhi kyun basaya nahin 'qatil' kaise kategi ye dopahar gham ki mere nasib mein un gesuon ka saya nahin