koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya

koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya
har kaam mein hamesha koi kaam rah gaya

chhoti thi umr aur fasana tawil tha
aaghaz hi likha gaya anjam rah gaya

uth uth ke masjidon se namazi chale gae
dahshat-garon ke hath mein islam rah gaya

us ka qusur ye tha bahut sochta tha wo
wo kaamyab ho ke bhi nakaam rah gaya

ab kya bataen kaun tha kya tha wo ek shakhs
ginti ke chaar harfon ka jo nam rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close