kuchh bhi ho us se judai ka sabab ghar jao

kuchh bhi ho us se judai ka sabab ghar jao
dhal chuki sham andhera hua ab ghar jao

shab mein ghus aate hain aaseb mere shahron mein
tak mein rahti hai ye wahshat-e-shab ghar jao

log haq mangne pahunche the shahanshah ke pas
nok-e-khanjar pe mila hukm ke sab ghar jao

nahin ye zakhm qabile ke liye bais-e-naz
qatl ho lo kisi talwar se tab ghar jao

un se wabasta hain bachpan ki hazaron yaaden
chum lena dar-o-diwar ko jab ghar jao

ganw mein koi tumhaare liye bekal hai 'sharif'
jaane kab tum ko khayal aaega kab ghar jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close