kuchh dard baDha hai to mudawa bhi hua hai

kuchh dard badha hai to mudawa bhi hua hai
har-su dil-e-betab ka charcha bhi hua hai

purze bhi ude hain meri wahshat ke sar-e-rah
nazron mein hamari ye tamasha bhi hua hai

phute hain kahin aah bhare dil ke phaphole
pamal koi shahr-e-tamanna bhi hua hai

mana ki kadi dhup mein sae bhi mile hain
is rah mein har mod par dhoka bhi hua hai

raushan to hai yakh-basta fazaon mein koi aag
tariki-e-zindan mein ujala bhi hua hai

har lamha koi hadisa roke hai mere panw
har pal kisi khwahish ka taqaza bhi hua hai

kis mod pe aa pahuncha hai 'shahid' ye zamana
raftar qayamat ki hai thahra bhi hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close