kuchh to gham-KHana-e-hasti mein ujala hota

kuchh to gham-khana-e-hasti mein ujala hota
chand chamka hai to ehsas bhi chamka hota

aaina-khana-e-alam mein khada sochta hun
main na hota to yahan kaun sa chehra hota

khud bhi gum ho gae hum apni sadaon ki tarah
dasht-e-furqat mein tujhe yun na pukara hota

husn-e-izhaar ne ranai ata ki gham ko
gul agar rang na hota to sharara hota

hum bhi ehsas ki taswir bana sakte the
kash hum pe kabhi izhaar ka dar wa hota

fursat-e-shauq na di karb-e-wafa ne rona
koi eajaz to hum ne bhi dikhaya hota

hum ko pahchan ki ai bazm-e-chaman-zar-e-wajud
hum na hote to tujhe kis ne sanwara hota

ek surat se hua naqsh-e-do-alam ko farogh
aaina tut na jata to tamasha hota

hum ne har khwab ko tabir ata ki 'aslam'
warna mumkin tha ki har naqsh adhura hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close