kya KHabar thi ki kabhi be-sar-o-saman honge

kya khabar thi ki kabhi be-sar-o-saman honge
fasl-e-gul aate hi is tarh se viran honge

dar-ba-dar phirte rahe khak udate guzri
wahshat-e-dil tere kya aur bhi ehsan honge

rakh hone lagin jal jal ke tamannaen magar
hasraten kahti hain kuchh aur bhi arman honge

ye to aaghaz-e-masaib hai na ghabra ai dil
hum abhi aur abhi aur pareshan honge

meri duniya mein tere husn ki ranai hai
tere sine mein mere ishq ke tufan honge

kafiri ishq ka shewa hai magar tere liye
is nae daur mein hum phir se musalman honge

lakh dushwar ho milna magar ai jaan-e-jahan
tujh se milne ke isi daur mein imkan honge

tu inhi sheron pe jhumegi ba-andaz-e-digar
hum teri bazm mein ek roz ghazal-khwan honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close