kya puchhte ho mujh se ki main kis nagar ka tha jalta hua charagh meri rah-guzar ka tha hum jab safar pe nikle the taron ki chhanw thi phir apne ham-rikab ujala sahar ka tha sahil ki gili ret ne bakhsha tha pairahan jaise samundaron ka safar chashm-e-tar ka tha chehre pe udti gard thi baalon mein rakh thi shayad wo ham-safar mere ujde nagar ka tha kya chikhti hawaon se ahwal puchhta saya hi yaadgar mere ham-safar ka tha yaksaniyat thi kitni hamare wajud mein apna jo haal tha wahi aalam bhanwar ka tha wo kaun tha jo le ke mujhe ghar se chal pada surat khizar ki thi na wo chehra khizar ka tha dahliz par kar na sake aur laut aae shayad musafiron ko khatar baam-o-dar ka tha kachche makan jitne the barish mein bah gae warna jo mera dukh tha wo dukh umr bhar ka tha main us gali se kaise guzarta jhuka ke sar aakhir ko ye muamla bhi sang-o-sar ka tha logon ne khud hi kat diye raston ke ped 'akhtar' badalti rut mein ye hasil nazar ka tha