kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka

kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka
us mein jauhar hai meri aaina-simai ka

tur kushta hai usi naz-e-khud-arai ka
barq ki lahr hai naqsha teri angdai ka

ishq ek tabsira hai husn ki ranai par
husn ek falsafa hai ishq ki ruswai ka

aaj ek khak ka zarra bhi nahin baqi hai
dil-e-barbaad ye hasil hai khud-arai ka

yaad-e-ayyam ki thi lab pe mere mohar-e-sukut
ab to matam hai bapa dil mein shakebai ka

mauj-dar-mauj rawan baada-e-sar-josh-e-shabab
aalam-e-kaif hai aalam teri angdai ka

hasrat-o-yas ka amboh magar main bekas
aise majmea mein ye aalam meri tanhai ka

tirgi sham-e-lahad ki hai bhayanak lekin
hai ye utra hua jama shab-e-tanhai ka

jazr-o-mad husn ke dariya mein nazar aata hai
qabil-e-did hai aalam teri angdai ka

tere didar se mahrum rahin jab aankhen
koi masraf hi nahin phir meri binai ka

aalam-e-gor-e-ghariban ka ye ghamnak sukut
ek namuna hai mere dil ki shakebai ka

nind un ki agar ud jae to kuchh dur nahin
so gaya jagne wala shab-e-tanhai ka

sher dilkash ho agar safha-e-kaghaz pe 'aziz'
ek muraqqa hai kamal-e-sukhan-arai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close