la-makan nam hai ujDe hue virane ka

la-makan nam hai ujde hue virane ka
hu ke aalam mein hai maskan tere diwane ka

shauq-e-ruswa koi dekhe tere diwane ka
khud wo aaghaz bana hai kisi afsane ka

jam-e-dil baada-e-ulfat se bhara rahta hai
wah kya zarf hai tute hue paimane ka

dastan ishq ki hai puri sunaenge kalim
qissa tur to ek bab hai afsane ka

shama ne bazm mein jal jal ke jalaya aakhir
aah kya hashr hua ishq mein parwane ka

mustatar qulqul-e-mina mein hai raaz-e-masti
bhed kis tarah khule phir tere mastane ka

hashr mein dekh ke majma lab-e-kausar saqi
phir gaya aankhon mein naqsha tere maikhane ka

milte hi saghar-o-shisha se chhalak jata hai
ye bhi kya daur hai saqi tere paimane ka

kya qayamat hai ki mahshar mein bhi pursish na hui
hashr ab dekhiye kya ho tere diwane ka

safha dil mera aaina-e-ramz-e-tauhid
raaz-e-kaunain khulasa mere afsane ka

'shauq' ab kis liye fikr-e-mai-o-mai-khana hai
bharne wala to koi aur hai paimane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close