lab-e-jaan-baKHsh par jo nala hai

lab-e-jaan-bakhsh par jo nala hai
ab masiha bhi marne wala hai

khun thuka mudam surat-e-zakhm
dil-e-nasur ab tak aala hai

ro raha hun misl-e-abr-e-bahaar
dongda meinh ka hai na jhaala hai

wo bala-nosh-e-ranj-o-mehnat hun
gham-e-kaunain ek niwala hai

har qadam par hain saikdon pamal
sarkashon ka chalan nirala hai

har mizha par rawan hain kudak-e-ashk
nai sawaron ka yar sala hai

ashk-e-khun ruh par hain misl-e-shafaq
rang kis shokh ne uchhaala hai

fard-e-amal nek-karan 'shad'
qasr-e-firdaus ka qabaala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close