lahu mein duba hua mila hai wafa ka har ek usul tujh ko main jaanta hun pasand kyun hain gulab ke surkh phul tujh ko gawah ban kar bata rahi hain ye surkhiyan teri ungliyon ki sametne pad rahe hain khunkhar jangalon ke babul tujh ko thaki ana ka safar kahan tak kahin to ruk ja kahin to dam le bana diya hai masafaton ne tere qadam ki hi dhul tujh ko ye reza reza si aarzuen kabhi to kar de mere hawale main apne bikhre badan ki manind dekhta hun malul tujh ko ufuq ke us par bhi munasib nahin hai aadarsh ka taaqub kahin tujhe be-watan na kar de tera ye shauq-e-fuzul tujh ko wo khat raqibon ke hath aaya likha tha jo mere nam tu ne kahan kahan kar chuki hai ruswa teri ye chhoti si bhul tujh ko tujhi ko nafrat rahi hai jin se wo jin ki tabir sirf tu hai wo aakhir-e-shab ke khwab karne padenge aakhir qubul tujh ko 'qatil' kitne hi lafz apni asas ka zaiqa badal len agar bata dun kabhi main apni ghazal ki shan-e-nuzul tujh ko