lazzat-e-dard-e-alam hi se sukun aa jae hai

lazzat-e-dard-e-alam hi se sukun aa jae hai
dil mera un ki nawazish se to ghabra jae hai

garche hai tarz-e-taghaful parda-dar-e-raaz-e-ishq
par hum aise khoe jate hain ki wo pa jae hai

bazm mein mere adu hain un se un ka irtibaat
aisa manzar kab meri aankhon se dekha jae hai

dil ki dil hi mein rahi ye hasrat-e-didar bhi
meri nazren uthte hi wo mujh se sharma jae hai

jab na mahshar mein bhi hoga un ka mera samna
aaj ji-bhar kar tadap lun jitna tadpa jae hai

kya sahar hone se pahle hi firaq-e-jaan hai
dil mera kuchh sham hi se aaj baitha jae hai

aag furqat ki jo bhadki jal gae qalb-o-jigar
ai 'zahir' aatish-kade mein kis se thahra jae hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close