lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain

lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain
hum kaf-e-dast-e-khizan par bhi hina mangte hain

ham-nashin sada-dili-ha-e-tamanna mat puchh
be-wafaon se wafaon ka sila mangte hain

kash kar lete kabhi kaba-e-dil ka bhi tawaf
wo jo patthar ke makanon se khuda mangte hain

jis mein ho satwat-e-shahin ki parwaz ka rang
lab-e-shair se wo bulbul ki nawa mangte hain

taki duniya pe khule un ka fareb-e-insaf
be-khata ho ke khataon ki saza mangte hain

tirgi jitni badhe husn ho afzun tera
kahkashan mang mein mathe pe ziya mangte hain

ye hai waraftagi-e-shauq ka aalam 'sardar'
barish-e-sang hai aur baad-e-saba mangte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close