mahfilen lut gain jazbaat ne dam tod diya saz khamosh hain naghmat ne dam tod diya har masarrat gham-e-diroz ka unwan bani waqt ki god mein lamhat ne dam tod diya an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghan hain abhi kaun kahta hai ki zulmat ne dam tod diya aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh aaj phir taron bhari raat ne dam tod diya jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi un mohabbat ki riwayat ne dam tod diya jhilmilate hue ashkon ki ladi tut gai jagmagati hui barsat ne dam tod diya hae aadab-e-mohabbat ke taqaze 'saghar' lab hile aur shikayat ne dam tod diya