mahke jab raat-ki-rani to mujhe khat likhna chot ubhar aae purani to mujhe khat likhna kuchh na kah sakna zabani to mujhe khat likhna jab ho ashkon mein rawani to mujhe khat likhna chehra padh leta hun main aate hue mausam ka koi rut aae suhani to mujhe khat likhna chup hai andaz-e-nigarish to koi baat nahin bol uthen lafz-o-maani to mujhe khat likhna main hun lamhon ko kasauti pe parakhne wala waqt ho sone ka pani to mujhe khat likhna ban ke aa jaunga pankhe ka hasin shahzada sunna pariyon ki kahani to mujhe khat likhna kabhi wade ka hasin phul diya tha tum ne yaad aae wo nishani to mujhe khat likhna phul ke zakhmon ki taswir tumhein bhejunga kabhi mausam jo ho dhani to mujhe khat likhna