mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe

mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe
mere saqi tu rahe aabaad mai-khana rahe

hashr bhi to ho chuka rukh se nahin mitti naqab
had bhi aakhir kuchh hai kab tak koi diwana rahe

kuchh nahin hum dil-jalon ki be-qarari kuchh nahin
teri mahfil wo hai jis mein sham-e-parwana rahe

gore hathon mein bane chaudi khat-e-saghar ka aks
tere dast-e-naz mein nazuk sa paimana rahe

kam se kam itna asar ho jo sune aa jae nind
bekason ki maut ka honthon par afsana rahe

raat jo ja baithte hain roz hum majnun ke pas
pahle an-ban rah chuki hai ab to yarana rahe

hashr ho tum sharm ke putle na banna hashr mein
chaal ithlai hui andaz mastana rahe

tab us ki la nahin sakte kabhi nazuk dimagh
bar sar hai dur sar se taj shahana rahe

un ke kahne se kabhi yun kah liye do-chaar sher
raat-din fikr-e-sukhan mein koi diwana rahe

un buton ke chalte hum ne dil ko patthar kar liya
but rahe koi na yarab koi but-khana rahe

tur par aa main na mere samne yunhi sahi
han zara tarz-e-takallum be-hijabana rahe

zindagi ka lutf hai udti rahe har-dam 'riyaz'
hum hon shishe ki pari ho ghar pari-khana rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close