main chahun bhi to zabt-e-guftugu main la nahin sakta samajhne par bhi dil ka muddaa samjha nahin sakta bhala aisi tahi-daman tamannaon se kya hasil bahalne par dil aamada hai aur bahla nahin sakta khuda mahfuz rakkhe khauf-e-aseb-e-asiri se main gulshan mein bhi aazadi ka naghma ga nahin sakta rag-e-gul se bhi nazuk-tar hain tinke aashiyane ke inhen gulchin har andaz-e-nawazish bha nahin sakta bhara jaega kab tak khun-e-mazi nabz-e-farda mein ab is pahlu pe nazm-e-qalb-e-geti aa nahin sakta kise fitna samajh kar apni mahfil se uthata hai zamir-e-amn is dhoke mein nadan aa nahin sakta sahab-e-fikr bhi 'yaqub' paband-e-faza nikla chaman ki khak par rang-e-sukhan barsa nahin sakta