main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua

main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua
ki us ke baad kisi ka bhi aashna na hua

tamam umr mera mujh se ikhtilaf raha
gila na kar jo kabhi tera ham-nawa na hua

wo jate jate dilase bhi de gaya kya kya
ye aur baat ki phir us se rabta na hua

hazar shukr salamat hai mera sar ab bhi
hazar dushman-e-jaan se bhi dostana hua

zara si chot pe jhankar gunj uthti hai
ki saz tut gaya phir bhi be-sada na hua

kuchh itna sahl nahin tha zamir ka sauda
bala se main kabhi ahl-e-qaba hua na hua

ajab hai yaadon ki bahti hui ye khushk nadi
lahu ko aankh se tapke hue zamana hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close