main ki waqf-e-gham-e-dauran na hua tha so hua chaak ab tak jo gareban na hua tha so hua par dil ke koi paikan na hua tha so hua yun kabhi dard ka darman na hua tha so hua koi wada koi paiman na hua tha so hua itna nadan dil-e-nadan na hua tha so hua dubte rahte the har roz hazaron suraj phir bhi ashkon se charaghan na hua tha so hua kya kahun lala-e-pur-khun ko ki jis ke bais mushtahar jo gham-e-insan na hua tha so hua is se pahle ki teri yaad ke baadal chhaen mujh ko andaza-e-tufan na hua tha so hua hai asar meri hi aashufta-sari ka shayad wo mujhe dekh ke hairan na hua tha so hua hae wo ek nazar lutf-o-karam se jis ke tujh se bhi jo gham-e-dauran na hua tha so hua shukriya un ke sitam ka ki yun hi ai 'iqbaal' aaj tak mujh pe jo ehsan na hua tha so hua