main sach to kah dun par us ko kahin bura na lage mere khayal ki yarab use hawa na lage ajib tarz se ab ke nibhaya ulfat ko wafa jo ki hai to is tarah ki wafa na lage darun-e-zat basa hai jahan yaadon ka wo dur rah ke bhi mujh ko kabhi juda na lage kabhi to kahta tha har lamha tere sath hun main ab aise bachhda ke us ka kahin pata na lage tabib tum ko bhulane ka kar raha hai ilaj maraz hua hai purana koi dawa na lage tumhaare waste jab jab badhaya dast-e-talab ajib baat hai is dam dua dua na lage uthe nazar se na us ki fusun-e-parda-e-husn khata bhi tujh se agar ho use khata na lage ye tera tarz-e-bayan mashriqon sa hai 'asra' wo din na aae ke tujh ko khuda khuda na lage