maKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare

makhfi hain abhi dirham-o-dinar hamare
mitti se nikal aaenge ashjar hamare

alfaz se khinchi gai taswir-e-do-alam
aawaz mein rakkhe gae aasar hamare

zangar kiya jata hai aaina-e-takhliq
aur naqsh chale jate hain bekar hamare

kuchh zakhm dikha sakta hai ye rauzan-e-diwar
kuchh bhed bata sakti hai diwar hamare

kyun chaar anasir rahen paband-e-shab-o-roz
aazad kiye jaen giraftar hamare

kyun sham se viran kiya jata hai hum ko
kyun band kiye jate hain bazar hamare

kya aap se ab sakhti-e-be-ja ki shikayat
jab aap hue malik-o-mukhtar hamare

tahsin-talab rahte hain ta-umr ki 'azar'
paida hi nahin hote taraf-dar hamare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close